Apne naam ko badha karne ke liye koi kya nahi karta.
Paanch saal mein log mehnat karke CA ban jaate hain.
Aath saal mein doctor ban jaate hain.
Doctor chahe koi bhi ho,
be-zubaan jaanwaron ka hi kyun na ho.
To lo aaj National Doctor Day pe tumhe Doctor Day Mubarak.
Lekin Tumhe Charted Accountant day ki koi Mubarakbaad nahi.
Tum agar Dena chaho toh mujhe National Joke day ki mubarakbaad de dena
Main tumhe Jwaab mein Caneda day ki mubarakbaad de ke baatcheet ke upar viraam chinh lgaate huye dot dot lagata hoon.
Bas Duniya ghoomte rehna.
Main bhi jaldi ghoomte ghoomate tum tak aa kar rukna chahunga.
Ek July hai. Baaki sab kuch bhool chuka hoon.
Jo banne ke bahaane se mila tha.
Na main woh ban paaya na tum. Yun hota to kya hota.
Mere aur tumhare bachpan se paanch dashak pehle 1949 se Hisaab kitaab ko Profession bna diya.
Magar pehla tabdili dono ke zindagi mein 2008 mein kya huyi.
Pehla viraam chinh tab laga. Jab recession 08 aaya.
Jab mere haath se stethoscope cheen kar calculator thama diya gaya.
Hanu ki jagah Shanu ko mera behtareen dost bana diya.
Jang shuru hui to ghodon ki race mein jab sab dakshin ki taraf daud rahe the.
toh maine rail se kood kar uttar ki aur ka raasta chuna.
2012 mein duniya khatam hone wali thi to khuda ne shayad mere liye mansuba kuch aur moqarrar kiya.
Phir 2012 mein rule book ko badla gaya.
Is pathreeli jahannum mein tumse milne aaya.
Tumne calculator cheen kar ye kya haath mein thamaya.
Tum ise khayal samajhna.
Main haqeeqat likhunga.
Aankhen khuli to saamne kaun.
Are ye kaun ?
Ye to ho nazron ke saamne tum dilkashi.
Sarsarata phool chehra.
Thoda sa hi.
Chalo kuch to zara sa uns hua.
Sadiyon se chhupa ke baithe.
Kuch hawa hua.
Jaise tabaah hua.
Koi kahe jism madhosh hua.
Ishq hua.
Pyar hua.
Dil pe ye daag hain.
Ye mohabbat ka anuraag hai.
Na jise choo saka.
Na dekh saka na saamne hai koi.
Ho gaya door sa chehra mehnur ka.
Chaand ko de daali gaaliyan.
Na harkat karein.
Na barkat karein.
Bas ibadat sirf aqeedat.
Bas aqeedat sirf ibadat.
Hansta rahe.
Gaata gungunaata rahe.
Mustaqbil mein iski misaal do.
Maskan se ise nikaal do.
Na yaawari na azeez na yazdan.
Saamne ho ma'shuqa bas.
Husn hai dhal gaya.
Wujood hain gal gaya.
Saamne hain chand log.
Naam uska bol do.
Aabnaai ko khol do.
Na sukoon hai.
Na junoon hain.
Deewana hai, ahmaqana hai.
Bawla majnun hain.
Sun ae wahima !!!
Qiyaas ko tu tod de.
Hayaat ko tu chhod de.
Kar diya barbaad.
Hai agar to zuhoor de.
Ho jaaunga shaadab main.
Saamne agar tu dikhe.
Agar ye anjaam hai g'aaratgari
To intiha ye kuch bhi nahi.
Wafaat nahi ye to aaghaaz hai.
Ye to ab tak fareb tha.
Ye to khayal ki hai peshtar.
Mohabbat ke abhi kitne maqam baqi hain.
Maut jise abhi tak samajhte rahe ho aakhri.
Neelofar jaise guzre hai abhi qatar se kuch ek.
Kitne Antonio Romeo Jesus iske aaki hain.
Ab na tum ho
Na woh hai
Na koi aur......
2020 bhi guzar gya.
Kuch khwaab hain.
Chhote chhote se.
Peechhe mud ke dekhta hoon to peechhe ret hai aur aage samandar dikhai deta hai.
Chaar baar likha phir mitaaya. Sach likhoonga to pakda na jaaun.
Wade ke mutabiq laut aaya hoon. Bataayi hui tareekh ko. Ek July ko.
Sab kuch haqeeqat hai.
Khayaali kuch bhi nahi.
Main theek hoon
Main khush hoon
Khilone toot jaate hain to bachche khelna thodi bhool jaata hain.
Shayad koi aur khel khelna seekh jaaun.
(Tumhaara Neelofar)
Baakiyon ke liye kuch bhi
Pankaj Saharama
1 July
00:54 AM
#firstofJuly
#nationaldoctorday
#charteredaccountantday
#jokeday
#canedaday
#¹July
किस्से लिखने के लिए एक नया ब्लॉग चैनल शुरू करने जा रहा हूं.
अब लिख कर नही बोल कर सभी किस्से पढूंगा.
ये आखरी है.
अगली जानकारी के लिए @meranaam_pankaj को follow करना
No comments:
Post a Comment